na puchh dil ke kharabe se aur kya nikla badi talash ke baad ek naqsh-e-pa nikla ruke to chand bahut dur tha tasawwur se chale to chaar hi qadmon ka fasla nikla khirad ke phul to murjha gae bahaaron mein junun ka zakhm khizan mein hara-bhara nikla siyah raat mein lau de uthe lahu ke charagh rubab-e-ishq se wo shola-e-nawa nikla safar-e-shabab ka had-darja mukhtasar tha magar bahut tawil sarabon ka silsila nikla nigah-e-naz mein masti bhi hai taqaddus bhi sharab-khane ka mandir se rabta nikla visal-e-yar to qismat ki baat hai be-shak khayal-e-yar bhi hum se bahut khafa nikla nigar-e-sher ne sola-singar jis mein kiye wo aaina mere ashkon ka aaina nikla kamal-e-chashm-e-nazara to dekhiye ai 'prem' bayaz-e-jism ka har raaz khushnuma nikla