na puchh ai nur-e-shama-e-husn parwanon pe kya guzri hua shoala-fishan jo tu to diwanon pe kya guzri bataen ahl-e-dil duniya ke imanon pe kya guzri masajid par padin choten to but-khanon pe kya guzri jalana barq ka to shaghl tha gar ghar jala dale wo kyon ye sochti duniya ke khas-khanon pe kya guzri batao to zara insaniyat ke nam-lewao ki khud insan ke hathon se insanon pe kya guzri nigahon ka wo halka sa tasadum hai maaz-allah phir is ke ba'd kya kahiye ki diwanon pe kya guzri musallam teri tabani baja ai shama zau teri magar ye bhi kabhi dekha ki parwanon pe kya guzri dar-e-zindan pe wo maghmum-o-azurda se baithe hain ilahi khair ho aaj un ke diwanon pe kya guzri duaen mai-kashon ki phirti hain bhatki hui 'hairat' ye kyon bab-e-asar hai band mai-khanon pe kya guzri