chahaar samt kahin daen baen lagti hain sukut todna ho to sadaen lagti hain buzurg aise bhalai ke ped hain jin par agar samar na lage to duaen lagti hain ki in ke hone se ghar bhi chahakne lagta hai mujhe to betiyan bhi fakhtaen lagti hain bataya jae agar dil ka dard rokna ho to ek mah mein kitni dawaen lagti hain hun ek pahad ki choti pe aaj-kal aabaad main ghar se niklun to dil se ghataen lagti hain main is liye bhi jalata hun apna dil 'ejaz' ki is diye ko zara kam hawaen lagti hain