na puchh dekh ke kitna malal hota hai jo khwab dekhne walon ka haal hota hai labon pe mohr-e-khamoshi lagai jati hai aur is ke baad hamin se sawal hota hai jab aai sham-s-masafat to phir ye raaz khula zara si der uruj o zawal hota hai har ek shakhs ki apni hi ek duniya hai kahan kisi ko kisi ka khayal hota hai har ek auj-e-mohabbat pe aa nahin sakta kisi kisi mein hi aisa kamal hota hai ruki hui hun ek aaise sawal par 'shabnam' jawab jis ka hamesha muhaal hota hai