na puchh hijr mein jo haal ab hamara hai umid-e-wasl hi par in dinon guzara hai na dekhun tujh ko to aata nahin kuchh aah nazar tu meri putli ka aankhon ki yar tara hai mujhe jo baam pe shab ko bulae hai wo mah magar uruj pe kya in dinon sitara hai yaqin jaan tu waiz ki din o duniya mein bas us ki sirf mujhe zat ka sahaara hai ajab tarah se nazar pad gaya mere hamdam qayamat aah wo mukhda bhi pyara pyara hai mujhe jo dosti hai us ko dushmani mujh se na ikhtiyar hai us ka na mera chaara hai kaha jo main ne pilate ho bazm mein sab ko magar hamein hi nahin kya gunah hamara hai to bole wo ki jise chahen hum pilaen sharab khushi hamari tera is mein kya ijara hai gaya wo parda-nashin jab se apne ghar 'ghamgin' tamam khalq se dil ko mere kinara hai