jaane kis khwab-e-pareshan ka hai chakkar sara bikhra bikhra hua rahta hai mera ghar sara mutmain hum the bahut jit hamari hogi kaise phir aa gaya narghe mein ye lashkar sara baada-e-gham se hai sarshaar mera baatin bhi aur isi gham se ujala hai ye bahar sara main ne mangi thi dua tut ke barse baadal ab jo barsa hai to barsa hai ye chhappar sara mausam-e-abr ki to baat yunhi aai thi kyun sharabor hua aap ka paikar sara main ne socha ki sataegi bahut pyas mujhe pi gaya jhonk mein bas aa ke samundar sara