na puchh hum se hamari udan chhod na yar badi tawil hai ye dastan chhod na yar nikal pade jo safar mein to sochna kaisa kahan hai dhup kahan saeban chhod na yar dabi hai aag jo dil mein use kuredo mat yahin kahin tha hamara makan chhod na yar ye soch hum ko pahunchna hai apni manzil tak na gin kisi ke qadam ke nishan chhod na yar khushi thi mul to gham tha byaj ke jaisa tamam umr bhara hai lagan chhod na yar hua hai zindagi bhar ki jugad roti ka biki hai qiston mein apni dukan chhod na yar libas sunnati hai ummati mohammadi hun na puchh ab ye nasab khandan chhod na yar ye sab bulandiyan allah ke liye hain 'chand' maqam martaba rutba ye shan chhod na yar