aaghosh-e-rang-o-bu ke fasane mein kuchh nahin hasrat nikal gai to zamane mein kuchh nahin mayusiyon mein husn bhi raushan nahin raha dil bujh gaya to shama jalane mein kuchh nahin saqi ke kaif-e-baada-e-parina ki qasam science ke jadid khazane mein kuchh nahin ek husn-e-nim-khwab ka aalam hi aur hai soi hui ada ko jagane mein kuchh nahin fitrat nai zamana naya zindagi nai kohna khuda ko pujte jaane mein kuchh nahin tera hi ek aks tha har su nazar-fareb dekha to mere aaina-khane mein kuchh nahin kuchh zikr-e-jam-o-shahid-o-mai kijiye 'nushur' hosh o khirad ke sard fasane mein kuchh nahin