na puchh kis liye zakhm-e-jigar ko dekhte hain is aaine mein kisi ki nazar ko dekhte hain dam-e-fana teri pahli nigah yaad aai hum aaj sham mein shamil sahar ko dekhte hain kuchh is tarah huin taqsim shokhiyan un ki har ek ne yahi samjha udhar ko dekhte hain shikast-e-dil ka yahan ab khayal hai kis ko teri nigah mein kaif-o-zafar ko dekhte hain kahan kahan hai khalish dard ki maaz-allah kahan kahan teri tirchhi nazar ko dekhte hain bahut buland hai meri nigah ai 'maikash' wo aur honge jo aib-o-hunar ko dekhte hain