pate hain muddaa ko gham-e-muddaa se hum sarshaar hain tamanni-e-be-iltija se hum ab jis pe chahen rakh den wo ilzam-e-mai-kashi hai mast hum se un ki ada aur ada se hum begangi ne teri diya hosh-e-ghairati sabit hue hain kis sitam-e-na-rawa se hum baithe rahe wo khun-e-tamanna kiye hue dekha kiye unhen nigah-e-iltija se hum tera shabab hai gham-e-ulfat ki ibtida yani hue shurua teri intiha se hum ab kis se ja ke un ki shikayat bayan karen un se bhi pahle ruth chuke hain khuda se hum aazad hai alaeq-e-rasm-o-riwaj se 'maikash' ko jaante hain bahut ibtida se hum