na puchh kyun meri aankhon mein aa gae aansu

na puchh kyun meri aankhon mein aa gae aansu
jo tere dil mein hai us baat par nahin aae

wafa-e-ahd hai ye pa-shikastagi to nahin
thahar gaya ki mere ham-safar nahin aae

na chhed un ko khuda ke liye ki ahl-e-wafa
bhatak gae hain to phir rah par nahin aae

abhi abhi wo gae hain magar ye aalam hai
bahut dinon se wo jaise nazar nahin aae

kahin ye tark-e-mohabbat ki ibtida to nahin
wo mujh ko yaad kabhi is qadar nahin aae

ajib manzil-e-dilkash adam ki manzil hai
musafiran-e-adam laut kar nahin aae

hafiz kab unhen dekha nahin ba-rang-e-digar
'hafiz' kab wo ba-rang-e-digar nahin aae


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close