nargis pe to ilzam laga be-basari ka arbab-e-gulistan pe nahin kam-nazari ka taufiq-e-rifaqat nahin un ko sar-e-manzil raste mein jinhen pas raha ham-safari ka ab khanqah o madrasa o mai-kada hain ek ek silsila hai qafila-e-be-khabari ka har naqsh hai aaina-e-nairang-e-tamasha duniya hai ki hasil meri hairan-nazari ka ab farsh se ta-arsh zabun-haal hai fitrat ek marka dar-pesh hai azm-e-bashari ka kab milti hai ye daulat-e-bedar kisi ko aur main hun ki rona hai isi dida-wari ka be-wasta-e-ishq bhi rang-e-rukh-e-parwez unwan hai farhad ki khunin-jigari ka aakhir tere dar pe mujhe le aai mohabbat dekha na gaya haal meri dar-badari ka dil mein ho faqat tum hi tum aankhon pe na jao aankhon ko to hai rog pareshan-nazari ka be-pairwi-e-'mir' 'hafiz' apni rawish hai hum par koi ilzam nahin kam-hunari ka