na puchh marg-e-shanasai ka sabab kya hai kabhi hamein tha talluq sabhon se ab kya hai jahan sukut musallat hai dam-ba-khud hai hayat wahin se shor-e-qayamat uthe ajab kya hai jo zehn hi mein siyahi undel de suraj to phir tamiz kise subh kya hai shab kya hai janm diya hai dukhon ne ghamon ne pala hai khuda se puchhiye mera hasab-nasab kya hai wo zahr-e-khand jo ghole hain chashm o lab ne tere tujhe khushi ho to puchhen ki zer-e-lab kya hai uthe hain hath to apne karam ki laj bacha wagarna meri dua kya meri talab kya hai