safar mein ab ke ajab tajraba nikal aaya bhatak gaya to naya rasta nikal aaya mere hi nam ki takhti lagi thi jis dar par wo jab khula to kisi aur ka nikal aaya dukhon ki jhadiyan ugti chali gain dil mein har ek jhadi se jangal ghana nikal aaya ek aur nam juda dushmanon ke namon mein ek aur dost mera aaina nikal aaya kuchh aaj ashkon ki lazzat nai nai si hai purane gham ka naya zaiqa nikal aaya ye mera aks hai ya aur hai koi mujh mein ki jis ka qad mere qad se bada nikal aaya badhe kuchh is tarah donon hi dosti ki taraf ki darmiyan mein naya fasla nikal aaya dua salam se aage jo thodi baat badhi jo us ka dukh tha wahi dukh mera nikal aaya meri ghazal mein kisi bewafa ka zikr na tha na jaane kaise tera tazkira nikal aaya