na pure hue ba-khuda bechte hain yun khwab-o-khayalon ko ja bechte hain nahin koi mukhlis zamane mein warna ata bechte the rida bechte hain tabibon ki sari hai apni kahani wafa bechte hain shifa bechte hain chalo tum bhi hum se ye wada karo ab qasam kha ke sari ana bechte hain ye ahl-e-zamana kahan jaante hain dilon mein sulagti sada bechte hain hue hain wo hum se parae ki aise laga ke gira phir qaba bechte hain sitam pe sitam wo kiye ja rahe hain laga ke wo zakhm ab dawa bechte hain nahin hoti un se koi baat bhi to ye aankhon ke andhe dua bechte hain bhare mal-o-daulat se kamre hain khali hawas ke pujari kala bechte hain mukammal ho tera funun-e-safar ye han saghar se kah do dua bechte hain jo dekha andhera to rahon mein 'mariyam' amawas ki shab mein ziya bechte hain