kiya hai kaam ye lail-o-nahaar aankhon ne

kiya hai kaam ye lail-o-nahaar aankhon ne
dikhaya jalwa-e-parwardigar aankhon ne

kabhi dikhaya hai pazhmurda bagh fasl-e-khizan
kabhi dikhai hai fasl-e-bahaar aankhon ne

main apne dil pe ye ilzam dhar nahin sakta
tabah mujh ko kiya surma-dar aankhon ne

hadis-e-dil jo chhupane ki lakh koshish ki
magar kiya hai use aashkar aankhon ne

hui thi man ki ziyarat bhi baad barson ke
bahae ashk bhi be-ikhtiyar aankhon ne

tumhaari rah ko tak kar ai yusuf-e-dauran
kiya hai subh-o-masa intizar aankhon ne

dikha ke khwab-e-zulekha-e-dirham-o-dinar
kiya hai dil ko sada be-qarar aankhon ne

tumhaari ek hi taswir hai jo pas mere
usi ko pyar kiya bar bar aankhon ne

ye ashk is liye bahte hain meri aankhon se
kiya hai khwahish-e-didar-e-yar aankhon ne

tum in gunahon se tauba karoge kab 'nuri'
kiye gunah hain jo be-shumar aankhon ne


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close