na-qabil-e-yaqin tha agarche shurua mein suraj magar ghurub hua tha tulua mein mulla ko de diya hai namazon ka baqi kaam khud ko laga liya hai khushu-o-khuzua mein sirf ek chehra ek hi nam ek hi khayal hota hai sab ke sath yahi sab shurua mein itne halala-baz agar ghat mein na hon kya aisa fasla hai talaq-o-rujua mein shayad meri namaz yahin khatm ho gai ek umr ho gai ki ruka hun rukua mein mohmal sahi pa tab-o-tawanai dekhiye us ain se jo aai hai is aab-o-jua mein urdu mein to bas ek wuzu aur ek namaz do do namazen hoti hain arabi wuzua mein aslen tamam nachti gati guzar gain dekha nahin kisi ne wafur-e-furua mein 'ehsas' kya hai ye 'zafar' 'iqbaal' ki tarah tausia ain sher ki hadd-e-wuqua mein