na qadr-e-sher na qadr-e-hunar hai kya kahiye ye shaeri hai ki khun-e-jigar hai kya kahiye hazar shor-e-malamat hazar ruswai magar aziz teri rahguzar hai kya kahiye umid-e-wasl mein kuchh aur ji liye hote ye zindagi bhi magar mukhtasar hai kya kahiye na koi subh-e-tamanna na subh-e-wasl koi sahar hanuz fareb-e-sahar hai kya kahiye bahut hasin faza-e-hayat hai lekin faza hai aur gham-e-baal-o-par hai kya kahiye badal raha hai dilon ko bhi daur-e-sarmaya nigah-e-naz bhi na-mo'tabar hai kya kahiye 'payam' jite hain hum bawajud-e-nakaami hawas hayat ki aur kis qadar hai kya kahiye