na mal-o-zar hai na saghar na baada rakhte hain ho koi haal magar dil kushada rakhte hain mile hain ranj bahut phir bhi hain umid se kam hum is jahan se tawaqqo ziyaada rakhte hain badhae hath koi dost ho ki dushman ho hum ahl-e-ishq hain daman kushada rakhte hain hamare ishq mein rang-e-hawas ko dakhl nahin mizaj-e-ishq azal hi se sada rakhte hain gham-e-jahan se kabhi kam hui na masti-e-zist hanuz nashsha-e-hasti ziyaada rakhte hain na tang-dil hain na kam-hausla na tang-nazar dil-o-nigah hamesha kushada rakhte hain payam-e-zist pe mitna unhin ko aata hai jo zindagi se mohabbat ziyaada rakhte hain