na qafas mein na aashiyane mein

na qafas mein na aashiyane mein
chain milta kahan zamane mein

jo bhi taswir hai wo gard-alud
jab bhi dekha nigar-khane mein

sar uthaya to jhuk gaya aalam
mit gaya hun to sar jhukane mein

ho gae hum qafas ke bashinde
bas gae log aashiyane mein

chhodte waqt chand par apne
rakh diye hum ne aashiyane mein

bazm mein har nigah badli hui
khair apni hai laut jaane mein

shahr mein jab kahin bhi aag lagi
hath mere jale bujhane mein

mehrban hain wo mujh pe phir bhi 'kamal'
dil larazta hai pas jaane mein


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close