shab-e-firaq mein phir yaad aa raha hai koi andheri raat mein dipak jala raha hai koi khuda hi jaane khushi bhi mujhe milegi kabhi ki mere soe hue gham jaga ha hai koi hamare kamre mein jhanka tha aaftab zara ki dafatan abhi parde gira raha hai koi charagh ghar ke na raushan karo khuda ke liye charagh jo bhi hain raushan bujha raha hai koi zara si pi thi mai-e-ishq aur itna surur qadam qadam pe 'kamal' ladkhada raha hai koi