na rah-rau na manzil na rasta hua

na rah-rau na manzil na rasta hua
ye jina bhi kya khak jina hua

hua tha zara ranj-e-ghurbat mujhe
man meherban ek kanta hua

jo socho to har shakhs hai nind mein
jo dekho to har shakhs jaga hua

simat kar jiyunga to mar jaunga
mujhe yunhi rahne do bikhra hua

mujhe chhed kar log pachhtaenge
main be-jam-o-baada hun duba hua

mere qatilon ki wafa dekhiye
meri yaad mein raat jalsa hua

mera aur us ka taqabul kahan
wo dariya main tufan thahra hua

kahan tak sametegi duniya mujhe
na jaane kahan tak hun phaila hua

tumhin badh ke 'zeba' ek aawaz do
zamane ko soe zamana hua


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close