na rahbari ka koi silsila nazar aae chalo wo rah jo be-naqsh-e-pa nazar aae uda gae hain bahut dhul jaane wale log chhate ghubar to kuchh rasta nazar aae bas ek lams ka ehsas kar gaya bechain mahak hi teri na dast-e-hawa nazar aae nigah chahiye bas ahl-e-dil faqiron ki bura bhi dekhun to mujh ko bhala nazar aae hamein ye sharm ki hum se to bandagi na hui wo chahta hai ki misl-e-khuda nazar aae jo apne aap se aage na dekh sakta ho hamara haal bhala us ko kya nazar aae qusur-war na ho kar bhi tum mitao use 'anis' yar koi jab khafa nazar aae