sanson mein shahar-bhar ki utar jaana chahiye khushbu ho tum to tum ko bikhar jaana chahiye karna hai aap ko jo nae raston ki khoj sab jis taraf na jaen udhar jaana chahiye us bewafa pe marne ko aamada dil nahin lekin wafa ki zid hai ki mar jaana chahiye diwar ban ke waqt agar rasta na de jhonka hawa ka ban ke guzar jaana chahiye un ke siwae jin pe tabahi guzar gai har shakhs kah raha hai ki har jaana chahiye yun aah bhar ki us ka taghaful laraz uthe tu khak ho gaya ye khabar jaana chahiye agli safon mein hum hi rahen kyun sada 'anis' ab marke mein us ka bhi sar jaana chahiye