na rang-o-bu hai na kaif-o-naghma nazar mein bhi dilruba nahin hai main kaise samjhun bahaar aai ki ghuncha dil ka khila nahin hai teri mohabbat ke khwab dekhe teri mohabbat ke git gae teri mohabbat mein kya na paya teri mohabbat mein kya nahin hai chhupaun zakhmon ke apne dil mein na aae nok-e-mizha pe aansu karo na ruswa yun apne gham ko ki ye to rasm-e-wafa nahin hai wo saz-e-dil jo kabhi tha chheda teri nazar ne ba-naz-o-shokhi wo ab bhi naghma-sara hai lekin nikalti koi sada nahin hai wo guzre waqton ki ab hain yaaden sahaare jin ke main ji raha hun kaho na mujh se ki un mein kya hai ye mujh se puchho ki kya nahin hai na jaane teri talash mein kyon bhatak bhatak kar main rah gaya hun wagarna har zarra-e-zamin par jahan tera naqsh-e-pa nahin hai hayat ki sham kash meri teri hi yaadon mein bit jae ki waqt-e-akhir ye kah sakun main ki zindagi se gila nahin hai ye bughz-o-nafrat ke shoale har su bana rahe hain watan ko dozakh hamin hain chup-chap aur be-his ki jaise kuchh bhi hua nahin hai mujhe zarurat 'habib' kya hai charagh-e-dair-o-haram ki aakhir jo dil mein bhadka tha shoala-e-gham wo jal raha hai bujha nahin hai