nazren jhuki sawal pe mere jawab mein kya kya na kah gai hai nigahen hijab mein mizrab hi se saz mein hai sari naghmagi hai zindagi ka lutf nihan iztirab mein rah-e-wafa mein us ke qadam dagmagaen kyon dekha hai jis ne tera karam bhi itab mein sadqe nigah-e-naz ke hun be-niyaz-e-jam aae ye kaif-e-husn kahan se sharab mein main rah-naward-e-shauq hun mujh ko kahan ye hosh rahat mein guzre dil ki ye guzre azab mein rah rah ke ab rulati hai piri mein un ki yaad hans hans ke zakhm khae jo hum ne shabab mein ye tazgi ye rang bhi aaya kahan se hai kanton ka khun hi to hai shayad gulab mein pure kahan hue mere arman gunah ke kya khak dil lagega abhi se sawab mein bedariyon ki tab na hum la sake 'habib' guzri hayat ek musalsal se khwab mein