na ras aai chaman-zar ki faza mujh ko mizaj-e-barq ne be-ghar bana diya mujh ko tamam umr bhatakte rahe jo rahon mein dikha rahe hain wahi aaj rasta mujh ko hujum-e-dard mein dil ne to sab ka sath diya mila na apne hi ashkon ka ham-nawa mujh ko wo pas the to har ek shai mein dil dhadakta tha wo dur hain to khatakti hai har faza mujh ko ye karwan na meri gumrahi pe yun hansta rah-e-talab mein jo milte wo naqsh-e-pa mujh ko qadam qadam pe sanwara jinhen mohabbat mein samajh rahe hain wahi ab shikasta-pa mujh ko koi rafiq na rahbar na koi rahguzar uda ke lai hai kis shahr mein hawa mujh ko 'hayat' dukhti hui rag ko kis ne chhed diya uthi wo tis ki yaad aa gaya khuda mujh ko