nazar-nawaz hai husn-e-khajista-pai ab bhi khatak rahi hai magar dil mein koi shai ab bhi ba-qaid-e-tauba wahi ehtiram hai ab bhi meri nazar mein hai khurshid-e-jam-e-mai ab bhi main gharq-e-be-khudi-e-shauq hi sahi lekin tumhein pukar lun itna to hosh hai ab bhi ye zarf hai mera ai rahbar-numa rahzan ki chal raha hun tere sath pai-ba-pai ab bhi ghalat nahin ki ho tum jada-azma-e-haram na hogi rah-e-wafa shaikh tum se tai ab bhi wo soz-o-saz-e-gham-e-ishq ab kahan lekin nikalti hai mere naghmon se gham ki lai ab bhi kabhi idhar se koi nai-nawaz guzra tha faza mein gunj rahi hai sada-e-nai ab bhi