na ras aai hum ko jawani hamari kate kya baras zindagani hamari adu ki shab-e-wasl sau bar sadqe shab-e-gham hai kitni suhani hamari dagha de rahe hain dam-e-naza tum ko ye hai waqt-e-rukhsat nishani hamari kiye main ne shikwe to wo hans ke bole adu par bhi hai mehrbani hamari unhin ne to diwana hum ko banaya wahi ab karen pasbani hamari ye saqi ne saghar mein kya chiz de di ki tauba hui pani pani hamari satate hain hum bhi hasinon ko kya kya satati hai hum ko jawani hamari lagi thi jo mai munh se bhar tauba kyun ki hui talkh kya zindagani hamari kiya jhut wada karen hum jo tujh se tere kaam aae jawani hamari bahut be-asar tum use jaante the zabanon par ab hai kahani hamari qafas dast-e-sayyaad mein hum qafas mein ye kaam aai hai khush-bayani hamari 'riyaz' aap hum qadr-dan apne nikle kisi ne na ki qadrdani hamari