na-rasa aahen meri auj-e-maraatib pa gain dil se niklin lab tak aain aasman par chha gain naza mein dil se nikal kar jo zaban par aa gain wo sadaen kuchh na thin lekin qayamat dha gain ai nigah-e-dil-nawaz uth aur mere dil ko dekh jitni nikli thin tamannaen phir utni chha gain main umid-e-ghuncha-o-gul ab karun to kya karun konplen phuti thin jin shakhon mein wo murjha gain khana-e-dil mein ye aalam aarzuon ka raha chand niklin chand thahrin kuchh gain kuchh aa gain sab ne jaana ek apna ham-watan kam ho gaya gham agar nikla to dil ki hasraten ghabra gain surat-e-sailab mazmun ka asar badhta gaya 'nuh'-e-tufani ki ghazlen khub shohrat pa gain