taklif mit gai magar ehsas rah gaya khush hun ki kuchh na kuchh to mere pas rah gaya pal-bhar mein us ki shakl na aai agar nazar yak-dam ulajh ke rishta-e-anfas rah gaya photo mein dil ki chot na tabdil ho saki naqlen utar utar ke akkas rah gaya wo jhute motiyon ki chamak par phisal gai main hath mein liye hue almas rah gaya ek ham-safar ko kho ke ye haalat hui 'adam' jangal mein jis tarah koi be-as rah gaya