na rok ai chaaragar is muztarib ko chikh lene de ye wo nala hai mar jata hai jis ka rokne wala gaya wo waqt jab teri wafaon ki tamanna thi sitamgar hum ne andaz-e-tabiat hi badal dala ilahi jab mujhe sachchi mohabbat tu ne bakhshi hai to paida kar koi meri wafa ka dekhne wala tumhein samjha raha hun ho sake jab tak mujhe roko jo nikli aah dil se kaun hai phir rokne wala main apne qatl ka ilzam apne sar pe le lunga magar ye to bata do tum ne wo daman to dho dala 'munir' achchha zariya hai alaeq qata karne ka ajal ka aasra goya hai jaan ka palne wala