parda uTha ke chashm-e-taghaful-nigar se aap

parda utha ke chashm-e-taghaful-nigar se aap
dil ka jamal dekhiye dil ki nazar se aap

ghafil hain husn-o-ishq khud apne asar se aap
kuchh be-khabar se hum bhi hain kuchh be-khabar se aap

nazren chura rahe hain jo ahl-e-nazar se aap
aaine ko chhupate hain aaina-gar se aap

sahmi hui duaen hain nale dare hue
mayus yun koi na ho apne asar se aap

garma rahi hai qalb ko ek barq-e-be-khudi
jalwe hamein dikhate hain aakhir kidhar se aap

har har qadam pe sajdon ke milte hain kuchh nishan
shayad ki aaj guzre hain is rahguzar se aap

har zarra-e-nazar hai gulistan bana hua
aai bahaar guzre hain ya rahguzar se aap

khuddariyon ka pas bhi ai shan-e-munfail
marub hon na chashm-e-mohabbat-asar se aap

dushwar hain rasaiyan daman-e-dost tak
qatraat-e-ashk khulte nahin chashm-e-tar se aap

diwar-e-la-makan ho ki parde hijab ke
chhupte nahin hain chashm-e-haqiqat-nigar se aap

jalwe bhi khud nigah ke parde mein ai 'munir'
dekha unhen to chhup gae apni nazar se aap


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close