na rudad apni kaha chahta hun na auron ki biti suna chahta hun khuda jaane kyon is se ji uth gaya hai ab is bazm se main utha chahta hun na kar dil-jalon se gulon ki hikayat bas itna karam ai saba chahta hun na rahmat kar ai tund-e-baad-e-hawadis charagh-e-sahar hun bujha chahta hun masarrat ki ghadiyan kahin bhulti hain magar main unhen bhulna chahta hun mera ghuncha-e-dil khuda hi khilae nasim-o-saba ki dua chahta hun adhura tha 'mohsin' mera naqsh-e-hasti bana bhi na tha aur mita chahta hun