na sah saka jab masafaton ke azab sare to kar gae kuch meri aankhon se khwab sare bayaz-e-dil par ghazal ki surat raqam kiye hain tere karam bhi tere sitam bhi hisab sare bahaar aai hai tum bhi aao idhar se guzro ki dekhna chahte hain tum ko gulab sare ye saneha hai ki waizon se ulajh pade hum ye waqia hai ki pi rahe the sharab sare bhala hua hum gunahgaron ne zid nahin ki samet kar le gaya hai naseh sawab sare 'faraaz' kis ne mere muqaddar mein likh diye hain bas ek dariya ki dosti mein sarab sare