tarash kar mere bazu udan chhod gaya hawa ke pas barahna kaman chhod gaya rafaqaton ka meri us ko dhyan kitna tha zamin le li magar aasman chhod gaya ajib shakhs tha barish ka rang dekh ke bhi khule dariche pe ek pul-dan chhod gaya jo baadalon se bhi mujh ko chhupae rakhta tha badhi hai dhup to be-saeban chhod gaya nikal gaya kahin an-dekhe paniyon ki taraf zamin ke nam khula baadban chhod gaya uqab ko thi gharaz fakhta pakadne se jo gir gai to yunhi nim-jaan chhod gaya na jaane kaun sa aaseb dil mein basta hai ki jo bhi thahra wo aakhir makan chhod gaya aqab mein gahra samundar hai samne jangal kis intiha pe mera mehrban chhod gaya