na sahi aap hamare jo muqaddar mein nahin ab wo pahli si tadap bhi dil-e-muztar mein nahin aap ki baat ki waqat nahin aslan dil mein aap dam bhar mein to han karte hain dam bhar mein nahin mujh ko bawar to jab aae ki kuchh ummid bhi ho likh diya khat mein wo us ne jo muqaddar mein nahin main ne puchha tha kaho aur sataoge mujhe munh se nikli hai sitam-gar ke ghadi bhar mein nahin aap kyun zikr se 'bekhud' ke khajil hote hain ye to wo nam hai jo aap ke daftar mein nahin