zara si baat pe naraazgi agar hai yahi

zara si baat pe naraazgi agar hai yahi
to phir nibhegi kahan dosti agar hai yahi

tumhein dua bhi hum aasudgi ki kaise den
jo hum ne dekhi hai aasudgi agar hai yahi

hamein bikharna to hai kal nahin to aaj sahi
hamara kya hai tumhaari khushi agar hai yahi

abhi na-jaane hamein kitne dost khone paden
hamari baaton mein be-sakhtagi agar hai yahi

main dil mein rakhta nahin munh pe saf kahta hun
kami ye mujh mein hai be-shak kami agar hai yahi

jo rah bhatkun to us ki gali mein aa niklun
khusha-nasib meri gumrahi agar hai yahi

misal deni to apni hi zat ki deni
to phir ghurur hai kya aajizi agar hai yahi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close