na sail-e-rang na sayyara mahtab mera

na sail-e-rang na sayyara mahtab mera
hai mere sine mein angara mahtab mera

chhati ufuq ki siyah-gard to dikhai diya
payam-e-wasl ka harkara mahtab mera

khala mein muztarib-o-be-qayam meri tarah
ye mere dasht ka banjara mahtab mera

khunuk hawaon ka maskan bisat-e-khak meri
lahu ki aanch ka gahwara mahtab mera

chihaar samt mare aab-zar aur is mein
ghurub hota hua tara mahtab mera

khud apne nur se karta hai iktisab-e-jamal
wo ek shola-e-awara mahtab mera

tamam raat mukhatib raha mare dil se
wahi sukut ka fawwara mahtab mera

zamin pe dhum mere zakhm-e-na-shagufta ki
falak pe hasil-e-nazzara mahtab mera

main justuju mein usi kuza-gar ki hun 'ishrat'
hai jis ke chaak ka fan-para mahtab mera


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close