sahil pe samundar ke kuchh der thahar jaun mumkin hai ki maujon ke mathe pe ubhar jaun tapte hue lamhon ko sairab to kar jaun ek mauj-e-sada ban kar sahra mein bikhar jaun har sang hai ek shisha har shisha hai ek patthar ai shahr-e-tilism aakhir thahrun ki guzar jaun lao na ujalon ko is shahr ki sarhad tak aisa na ho main apne sae se hi dar jaun har samt fazaon mein pathraw ka aalam hai shishe ka badan le kar jaun to kidhar jaun har sham mere dil mein deta hai sada koi main dubte suraj ke hamrah na mar jaun roke na agar mujh ko is dasht ki tanhai 'ishrat' main hawaon ke paikar mein utar jaun