na samjhe koi us se dushmani hai meri ek kam-sukhan se dosti hai sabhi ke kaam aae ibn-e-adam yahi dar-asl husn-e-zindagi hai jise padhna ho is mein padh le sab kuchh khuli meri kitab-e-zindagi hai mere kis kaam ka aisa samundar lab-e-sahil bhi jis ke tishnagi hai ho rudad-e-zamana ki jo mazhar wahi dar-asl ruh-e-shaeri hai mere dil par hai jis ki hukmarani abhi us mein ada-e-kam-sini hai hai jis ka aaj girwida zamana jahan-e-rang-o-bu ye aarzi hai ajam ki tarah hai gunga arab bhi ye us ki maslahat ya be-hisi hai nahin fursat tan-asani se us ko alam-angez ye aadam-kushi hai bapa hai hashr se pahle hi mahshar kahin dukhtar kahin madar padi hai koi shatranj-bazi mein hai mashghul kisi ki jaan par apni bani hai dua-e-ahl-e-ghazza sun le yarab musibat ki ye ek aisi ghadi hai unhen hai sirf tera hi sahaara jahan bhai se bhai ajnabi hai agar is mein ho 'barqi' aadamiyat farishton se bhi afzal aadmi hai