dil ki zamin se kaun si behtar zamin hai par jaan tu bhi ho to ajab sar-zamin hai sar ko na phenk apne falak par ghurur se tu khak se bana hai tera ghar zamin hai rota phira hai kaun ye sar-gashta ai falak jidhar nazar pade hai udhar tar zamin hai aaine ki tarah se nazar hai tu dekh le raushan-dilon ki ghar ki munawwar zamin hai shayad naha ke aaj nichodi hai tu ne zulf ghar ki tamam teri muambar zamin hai giti ne zer-e-charkh rakha hai sabhon ko tham is kashti-e-jahan ki langar zamin hai le dil se chashm tak mere dariya sa hai bhara donon gharon ki gharq sarasar zamin hai awwal yahi hai bais-e-khun-rezi-e-jahan zewar hai zan hai zor hai ya zan zamin hai is tangna-e-dahr se jaun kidhar nikal udhar hai aasman aur idhar zamin hai juz khun-e-kohkan na uge wan se koi gul shirin ki rah-e-ishq ki patthar zamin hai raunde ho naqsh-e-pa ki tarah jis ko tum 'hasan' dekhoge koi din yahi sar par zamin hai