na sarban hai na naqa dikhai deta hai na-jaane kis ka ye khema dikhai deta hai bhare jahan mein akela dikhai deta hai wo ek shakhs jo sachcha dikhai deta hai musafiro kahun kya rahbar ke bare mein ba-zahir aadmi sada dikhai deta hai kahin zamin ki tah mein bhi shakl-e-ab nahin kahin pahad pe chashma dikhai deta hai wo aadmi jo kisi par sitam na dekh sake mujhe wo dekhne wala dikhai deta hai wo tirgi hai ki kuchh bhi nazar nahin aata bas ek umid ka tara dikhai deta hai wo dur dekh darakhton ke jhund hain 'bedi' wo dur koi jazira dikhai deta hai