saz de ke taron ko chhed to diya tum ne saz-e-dil ke taron ki baat bhi suni hoti hum jo shoala-e-jaan ki lau na tez kar dete aaj gham ki rahon mein kitni tirgi hoti un se chhed dete hum rang-o-nur ki baaten dastan-e-shauq apni khud hi chhid gai hoti shikwa-e-karam kyun hai wo agar karam karte aur bhi mohabbat ki pyas badh gai hoti ahl-e-dil wahan se bhi naghma-zan guzar aae lai jahan mohabbat ki tut hi gai hoti