na shab ka kuchh pata chale na din ki kuchh KHabar lage

na shab ka kuchh pata chale na din ki kuchh khabar lage
main us nagar mein hun jahan muhafizon se dar lage

khuda tere malang hain ye mast log tang hain
yahan pe kuchh sukun ho to ghar bhi apna ghar lage

tabhi to hum ko sazishon ne sar ke bal gira diya
hami the bewaquf jo kisi ki aas par lage

main hijr ke dayar mein bhatak bhatak ke thak gaya
yahin kahin thin manzilen yahin kahin the dar lage

mujhe bhi us ke ishq par ho man umr-bhar 'ali'
main us ka sirf us ka hun use bhi umr-bhar lage


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close