ye umr thi na abhi hijr ke zamane the

ye umr thi na abhi hijr ke zamane the
mujhe to yar abhi qahqahe lagane the

isi liye to chhupae hain ja ke mitti mein
wo log log nahin qimti khazane the

wahi judai wahi duriyon ka matam hai
jadid daur mein sadme wahi purane the

ghadi ki ek sui hil nahin rahi jaise
bichhadte waqt ka lamha kai zamane the

jahan-e-kun-fayakun mujh pe naz karta tha
mere khuda-o-payambar se dostane the

kanar-e-ab thi suraj se dosti jis ka
yahan pe aks kahin aur par thikane the

ye kis ne raat ke barah baje uthaya hai
abhi to khwab mujhe raushni ke aane the

yahi bayan hai phir amn tak ladenge hum
murad ye ki abhi aur bam chalane the

tumhi ne call milai nahin wagarna to
bas ek phone pe ahbab man jaane the

shikastagi se badi pukhtagi milani thi
ye hadsat kisi jit ke bahane the

hamein to aur bhi 'eajaz'-e-fan dikhana tha
bahut se harf sara-e-sukhan mein aane the


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close