na shabistan hai na ab sham-e-shabistan koi ghar ka ye haal hai jaise ho bayaban koi ban ke paikan rahe aisa nahin arman koi ban ke arman rahe aisa nahin paikan koi hai shab-e-wasl kahan hae ye kafir-andaz ho raha hai meri chhedon se pareshan koi jaan pad jae meri aarzu-e-murda mein jhuta-sachcha lab-e-jaan-bakhsh se paiman koi na uthun dil mein liye yaad-e-sitam hashr ke din is ada se sar-e-turbat hai pasheman koi kah gae nind gai raat ka aaram gaya us ki taqdir jo ho aap ka mehman koi sharar-e-sang se achchhi hai pari shishe ki un buton ka na bane banda-e-ehsan koi kisi jangal mein base ja ke gali se teri nazar aata nahin ab chaak-e-gareban koi jhankne ko idhar aai na kabhi baad-e-bahaar jab se hum aae na aaya su-e-zindan koi chhu gai gosha-e-daman se to chha jaegi khak se meri bachae hue daman koi ghair ke sar ki qasam hans ke dam-e-wada-e-wasl ai main sadqe tere kya ye bhi hai aasan koi gul kutar jae koi pa-e-hinai se zara mere madfan ko bana jae gulistan koi rahen sone mein laten zulfon ki yunhi rukh par na hatae na chhue zulf-e-pareshan koi baat rah jae meri us ke gunahgaron mein na bache nama-e-amal se isyan koi dukht-e-raz ko na ziyan di na kabhi tauba ki ahd naseh se na paimane se paiman koi le jabin ke koi bose na kahin sote mein chun na le honthon se sab aap ke afshan koi ubhre joban ke liye aap ko aakhir na mila kham-e-gardan ke siwa aur nigahban koi jo jalata hai mujhe us se ewaz lene ko de de ek chand ka tukda shab-e-hijran koi ghar ka kya zikr hai hum dil mein utha kar rakh len hum ko mil jae jo chhota sa bayaban koi aarsi aaina ab donon nazar se utre dil-e-hairan hai koi dida-e-hairan koi dur se kya nigah-e-shauq ne chheda hai unhen apni zulfon ki tarah kyun hai pareshan koi hashr ke roz rahe lutf-e-shab-e-wasl 'riyaz' aaqibat ke liye ab chahiye saman koi