uthin aankhen agar aahat suni hai sada taswir banna chahti hai abhi guzra nahin rukhsat ka lamha wo saat aankh mein thahri hui hai abhi lauta nahin din ka musafir andhera ho chuka khidki khuli hai abhi sar par hai tanhai ka suraj meri aankhon mein duniya jagti hai agar guzra nahin wo is taraf se ye hairat kis ne diwaron ko di hai mere chehre ki raunaq ahd-e-mazi ye surkhi kal ke akhbaron se li hai bahut sharminda hun iblis se main khata meri saza us ko mili hai baha kar le gaya sailab sab kuchh faqat aankhon ki virani bachi hai kahan tak bojh uthaegi hamara ye dharti bhi to budhi ho chuki hai na aaegi hawa ko nind kyun-kar zamanon ki thaki-haari hui hai bas ab bujhne ko hai suraj ki qindil jahan tak jal saki jalti rahi hai zabanen thak chukin patthar hue kan kahani an-kahi thi an-kahi hai makin 'shahzad' pyase mar rahe hain dar-o-diwar par kai ugi hai