na sitara na hi hum shams-o-qamar chahte hain hum darakhton se faqat shakh-o-samar chahte hain na zamin chahte hain aur na zar chahte hain hum faqiran-e-khuda ek hi dar chahte hain dasht-o-dariya ke amin bhi to hain aawara nasib saeban koi bhi ho apna hi ghar chahte hain muntaqil apni nadamat na karo ghairon tak tajraba hum bhi kahan bar-e-digar chahte hain shisha-o-chob ke danon se na bahlenge kabhi daur-e-hazir ke ye bachche to guhar chahte hain mansab-o-jah haqiqat mein hain mohtaji-e-dil sochiye khub ye kya ilm-o-hunar chahte hain bin bulae hi musafir ye chale aae the waswase aap se ab izn-e-safar chahte hain tum to akhbar sunate ho jahan ke 'rahi' hum ki darwesh hain baatin ki khabar chahte hain