na sochen ahl-e-khirad mujh ko aazmane ko main jaanta hun bahut aql ke fasane ko nahin qafas se nikalne ki aarzu sayyaad dikha de ek nazar mere aashiyane ko asir kar ke qafas mein mujhe ye hairat hai wo kah rahe hain mujhi se chaman bachane ko suluk ahl-e-chaman se ye baghban ne kiya qafas samajhne lage hain sab aashiyane ko batao tum ko ye kya ho gaya hai ahl-e-chaman jala rahe ho jo khud apne aashiyane ko jafa-o-zulm ke is tund tez tufan mein wo mujh se kahte hain sham-e-wafa jalane ko gira rahe hain musalsal wo bijliyan 'danish' batao kaise bachaoge aashiyane ko